Mugham/Chehra/The Face

Kabhi kabhi chup chup ke,
Jab mein dekhta hoon teri tasveerein

Hasti muskurati hui tu
Khilti khilkhilati hui tu
Hey ram, lagta hai aise
Khuda ne baksha ho tujhpe saara rang jaise

Kabhi kabhi chup chup ke,
Jab mein dekhta hoon teri tasveerein

Kisi janam mein, kisi kaal mein
Shaayad jaantete hum ek duje ko
Ab ajnabi hain, phir bhi lagta hai aise
Koi ajeeb si door hamein bandhti ho jaise

Kabhi kabhi chup chup ke,
Jab mein dekhta hoon teri tasveerein

Janta hoon ki yeh ek sapna hi rahega
Aakhir mein to tumhe janta bhi nahin
Phir bhi nadaan man yeh mera soche
Shaayad ek din rahenge hum ek hoke….

Anush

p.s. Just wanted to write something…hindi poetry seemed interesting!

3 thoughts on “Mugham/Chehra/The Face

  1. Seems like ” Hey Ram” is also takiyakalam now :D, u couldnt resist using it in the poem too
    btw is she the same girl with the beautiful earring ?

Leave a comment